Distracted mentally by current horrible and shocking mass activities happened around my city and in some parts of north India, this song shows what a common man who even cant have time for himself want to say all forces who work for destruction of our secular country.
Song is in the voice of well known Punjabi singer Gurdas Mann from his very popular album Punjeeri.
Allah Walo, Ram Walo
aapne Mazhab ko
siyasat se bacha lo
Mandir Masjid kabhi
fursat main bana laina
jo nafrat se toote hain
woh ghar to bana lo
Allah Walo, Ram Walo
aapne Mazhab ko
siyasat se bacha lo...
Beej nafrat ke khaito main ugane walo
kaatne khudh hi parain ge eh zamane walo
Allah Walo, Ram Walo
aapne Mazhab ko
siyasat se bacha lo
Bachke rehna oh lakri ka aashiyane walo
khudh bi jall sakte ho auro ko jalane walo
Allah Walo, Ram Walo
aapne Mazhab ko
siyasat se bacha lo
aapne ghar ke chatt ko
tum bacha ke rakhna
jo parosi ki deewar ko girane walo
Allah Walo, Ram Walo
aapne Mazhab ko
siyasat se bacha lo
Ek rehne do shaheedo ka tiranga jhanda
rooz naye jhande main dande ko
phasane walo
Allah Walo, Ram Walo
aapne Mazhab ko siyasat se bacha lo
aapne Mazhab ko siyasat se bacha lo
aapne Mazhab ko siyasat se bacha lo